Wo bewafa hai to kya mat kaho bura usko…
Ki jo huwa so huwa khush rakhe khuda usko…..
Nazar naa aye to uski talash me rehna….
Kahi mile to palat kr na dekhna usko……
---- Naseer Turabi
Main hazar gile kar sakta hun kyun ki mujhe haq diya tha usne…
Magar tum use bewafa kaho aisa tumhe kaha kisne…
Kabhi puja tha maine jise aaj uske liye galiyan bhala kaise sunun…
Jiske liye main bunata tha duaon ka libas uske liye baduaon ka kafan kaise bunun….
Wo meri zindagi thi.. wo khud ko hi barbad kar gayi to bhala kya kahen….
Haan magar jaate huye hame wo bata jati to achha hota, ki uske bina hum kaise rahen…
Magar mujhe aaj bhi lagta hai ke wo laut aayegi…
kahegi maaf kardo mujhe aur mujhe gale se lgayegi…
Uske sath bitaye huye dinon ko main bhulaun to bhulaun kaise…
Jo meri dhadkan ke sath dhadkti hai usko main yaad aun kaise….
Koi use yaad to dila de ki kitna khush wo raha karti thi sath mere…
Dur ho kar usne kyun thukra diye, Kya use sacche nhi lagte jazbaat mere….
Kabhi mere naam se uske chehre par muskan aajaya karti thi…
Wo bhi ek waqt tha jab wo meri ek jhalak paane ke liye tadap jaya karti thi….
Koi gunah tha to hame saza deti hum hans kar use kubool kar lete…
Wo deti agar zahar to hum hanste huye use bhi apni ragon me bhar lete….
Magar na kuchh kaha na bataya aur hamse dur chali gayi…
Jise mana tha zindagi apni usi ke hatho meri kismat chali gyi….
Wo bhale hame bhool jaye magar hum use hamesha yaad rakhenge…
Uske jinta Koi bhi khas nahi hoga… hum har kisi ko dil me uske baad rakhenge…..